-->
A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z

Recently Naats Updated

 

Ab To Bas Aik Hi Dhun Hai Lyrics,


Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu
Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu

Aakhri umar main kiya ronaq e dunya dekhu
Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu

Jaaliyan dekhu(n) ke deewar o dar o baam e Haram
Apni mazoor nigaho(n) se mein kya kya dekhu

Main kahan hun ye samajh lu(n) to uthaun nazrei
Dil jo sambhle to main phir Gumbad e Khazra dekhu

Meray Maula meri aankhe(n) mujhe wapas karday
Taake is baar mein jee bhar ke Madina dekhu

Kaash Iqbal yun hi umar basar ho meri
Subha Kaabe main to phir shaam ko Taiba dekhu

Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu
Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu






Chaand Taare Hi Kya Dekhte Reh Gaye



Chaand Taare Hi Kya Dekhte Reh Gaye Naat Lyrics


Chand taaray hi kyaa, dekhtay reh ga-ay,

Unko arzo samaa dekhtay reh ga-ay.

Ham daray Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) dekhtay reh ga-ay,

Noor hi noor tha, dekhtay reh ga-ay.

Parh kay roohul ameen, soora e wadduhaa,

Soorat-e-Mustafa dekhtay reh ga-ay

Wo Imaamat ki shab, wo Saff-e-Ambiyaa,

Muqtadi muqtadaa dekhtay reh ga-ay.

Naykon bad par huwaa, un ka yaksaa karam,

Log acha buraa dekhtay reh ga-ay

Kya khabar kiss ko kab Jaam-e-Kausar milaa,

Hum to unki adaa dekhtay reh ga-ay

Ho ke gumm ay Naseer Unke jalwon mein hum,

Shaan-e-Rabbul ‘Ulaa dekhtay reh ga-aye

Baar baar tauba ki aur phir torr di

Woh Habib-e-Khuda maaf karte rahe

Ya Rasul Llah ya Habiba Llah

Mere sar ko Haram ki fiza chahiye

Ya Rasool Llah ya Habiba Llah

Mere dil ko Dar-e-Mustafa chahiye

Fazl-e-Rabb-ul-‘ula aur kya chahiye

Mil gaye Mustafa aur kya chahiye

Chand taaray hi kyaa, dekhtay reh ga-ay,

Unko arzo samaa dekhtay reh ga-ay.

Kalaam By: Peer Syed Naseer-ud-Din Naseer Shah











Ban Ker Faqeer Jao


Ban Ker Faqeer Jao Naat Lyrics



Ban ker faqeer jao, Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki galli mayDil ki muraad pao, Sarkaar ki galli may

Aisa kareem  koi tujh ko na phir millay gaBaithay raho gadao, Sarkaar ki galli may

Jannat may rehnay waali, huurou say koi keh dayAik tum bhi ghar banao, Sarkaar  ki galli may

Kis kis ko may bataou, khud ja kay koi daikhayJannat ka der khulla hay, Sarkaar ki galli may










Aanay Walo Yay To Bataao





Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he
Sar un kay qadmon mayn rakh kar jukh kar jiina kesa he

Gunbaday khazra kay sa-ay mayn beytth kay tum to aa-ay ho
Uss sa-ay mayn Rabb kay aagay sajda karna kesa he

Dil aankhayn or ruuh tumhari lagti heyn sehraab mujhay
Dar pay un kay beytth kay zamzam piina kesa he



Diiwano aankhon say tumharitna puuch to laynay do
Waqt e dua rozay pay un kay aansu bahana kesa he

Waqt e rukhsat dil ko apnay chhoarr wahaan tum aa-ay ho
Yay batlaa-o ishrat un kay dar say bichharrna kesa he







Ya Nabi Salam Alayka Naat Lyrics


Ya Nabi Salam Alayka Lyrics

Anta nooru Llahi fajran
Ji’ta baadal usri yusran
Rabbuna a’alaka qadran
Ya imam al Ambiya’i
[Translation:]
You are the light of Allah at dawn
You came after the hardship as convenience
Our Allah raised up your position
Oh Imam (Leader) of the Prophets
Anta fi l-wajdani hayyun
Anta li l-‘aynayni dayyun
Anta ‘inda l-hawdi rayyun
Anta haden wa safiyyun
Ya Habibi ya Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
[Translation:]
You are alive in sentiment
You are the light of eyes
You are the irrigation at the Hawd (basin)
You are the absolutely pure guide
My beloved Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Ya Nabi salam ‘alayka
Ya Rasul salam ‘alayka
Ya Habib salam ‘alayka
Salawatu Llah ‘alayka
[Translation:]
Oh Prophet, peace be upon you
Oh Messenger, peace be
Oh beloved, peace be
The prayers of Allah be
Yartawee bi l-hubbi qalbi
Hubbi khayri rusli Rabbi
Man bihi absartu darbi
Ya shafi’i ya Rasula Llah
[Translation:]
My heart irrigates with love
Whom by him I have seen my path
The love of the best of Messengers of my God
My intercessor, Oh Messenger of Allah
Ayyuha l-mukhtaru feena
Zadana l-hubbu haneena
Ji’tana bi l-khayri deena
Ya khatam al-mursaleena
Ya habeebi ya Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
[Translation:]
Oh, the chosen out from us
Love boosted up the nostalgia
You came for us with religious peace
Oh, final Messenger
My beloved Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Ya Nabi salam ‘alayka
Ya Rasul salam ‘alayka
Ya Habib salam ‘alayka
Salawatu Llah ‘alayka
[Translation:]
Oh Prophet, peace be upon you
Oh Messenger, peace be
Oh beloved, peace be
The prayers of Allah be
Na Chedo Zikr E Jannat Naat Lyrics


Na Chedo Zikr E Jannat Lyrics

Na chedo zirk e jannat ab Madinah yaad aya hai
Nabi ka sabz Gumbad dil ki aankhaon me samaya hai
Mila karti hai mooh maange muradein Unke Rauze par
Ghulamau ne Tere Dar se jo maanga hai woh paya hai
Khuda ki Sultanat ke Tum ho Dulha Ya Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Tumhare waaste RABB ne yeh A’alam sajaya hai
Shabe Asra Mubarak baad dee yeh hooraun ne
Muhammed ko Khuda e Pak ne Dulha banaya hai
Namazaun me Azaan me Kalmah me aur Arsh par har ja
Khuda ne naam Tera naam se apne milaya hai
Zameen ko cheerte daude huwe aae hai khidmat me
Darakhtaun ne isharah Aapka jis waqt paya hai
Tumhari zaat par kyun kar bharosa ho na alam ko
Gunah-garaun ko Tumne naar e dozakh se bachaya hai
Ijabat ne liya bosah Tumhare pyare hotaun ka
Dua ke waaste jis waqt Tum ne lab hilaya hai
Koee pur saane haal apna nahi hai Ya Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Jo apna hai to Tu hai aur baqi sab paraya hai
Sana e Mustafa woh bhi rawayat e sahiha se
Jameele Qadri kya khoob tere paas maya hai

tu kuja man kuja Lyrics


tu kuja man kuja
ya nabi ya nabi
sallu alaihe wa alihi
tu kuja man kuja
tu kuja man kuja
tu ameer e haram main faqeer e ajam
tu ameer e haram main faqeer e ajam
tere gun or ye lab main talab he talab
tu atta he atta me khata he khata
tu kuja man kuja
ilham he jama tra
quran imama he tera
ilham he jama tera
quran imama he tera
minber tera arsh e bareen
ya rehmat ul lil alamin
tu kuja man kuja
tu kuja man kuja
tu haqeeqat he me sirf ahsas hun
tu samandar me bhatki hui pias hun
mera ghar khak per or teri rahguzar
sidra tul muntahatu
tu kuja man kuja
ae farishto wo sultan e meraj hen
tum jo dekho ge heran ho jao ge
zulf tafseer wallail ban jae ge
chehra quran sara nazar ae ga
chehra nazar ae ga
mere aqa imam e saf e anbiya
nam pe un ke lazim he salle ala
tu kuja man kuja
mustafa mujtaba
khatam ul mursalin
ya rehmat ul lil alamin
tu kuja man kuja
tu kuja man kuja
khair ul bashar rutba tera
awaz e haq khutba tera
afaq tere samaeen
saais jibreel e ameen
tu kuja man kuja
tu kuja man kuja
tu he ahram e anwaar bandhe hue
main daroodon ki dastar bandhe hue
kaaba e ishq tu me tere char su
tu asar main dua
tu kuja man kuja
haqeeqat se tumhari juz khuda or kon waqif he
kahe to kia kahe koi chuni tum ho chuna tum ho
khuda ki saltanat ka do jahan me kon dulha he
tum he tum ho tum he tum ho yahan tum ho wahan tum ho
tu kuja man kuja tu kuja man kuja
meri khush qismati main tera ummati
meri khush qismati main tera ummati
main tera ummati tu kuja man kuja
tu kuja man kuja
talab ko shadid tu ne kia karam ye mazeed tu ne kia
mujhe bhe mureed tu ne kia ke jaan teri aahaton me dhali
tu kuja man kuja
tu kuja man kuja
khushbu teri jooey karam aankhen teri baab e haram
dor azal teri jabeen ya rehmat ul lil aalamin
tu kuja man kuja tu kuja man kuja
meri har saans tu khun nichore mera
teri rehmat magar dil na tore mera
kasa e zaat hun teri kherat hun
tu sakhi me gada tu kuja man kuja
nisbat teri eman he khushbu teri irfan he
tafseer tere khulq ki quran he quran he
tu hasil e dunia o deen  ya rehmat ul lil aalamin
tu kuja man kuja
daawa he teri chah ka  is ummat e gumrah ka
tere siwa koi nahi  ya rehmat ul lil aalamin
tu kuja man kuja
dagmagaon jo halat ke samne  aye tera tasawwur mujhe thamne
meri khush qismati main tera ummati
tu jaza me raza tu kuja man kuja
tu kuja man kuja
doorian samne se jo hatne lagen
jalion se nigahen lipatne lagen
aansuon ki zaban ho meri tarjuman
dil se nikle sada tu kuja man kuja
tu kuja man kuja
tu he masoomiat  me teri maasiat
tu karam me khata tu kuja man kuja
tu kuja man kuja