A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z

Recently Naats Updated

 

Ab To Bas Aik Hi Dhun Hai Lyrics,


Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu
Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu

Aakhri umar main kiya ronaq e dunya dekhu
Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu

Jaaliyan dekhu(n) ke deewar o dar o baam e Haram
Apni mazoor nigaho(n) se mein kya kya dekhu

Main kahan hun ye samajh lu(n) to uthaun nazrei
Dil jo sambhle to main phir Gumbad e Khazra dekhu

Meray Maula meri aankhe(n) mujhe wapas karday
Taake is baar mein jee bhar ke Madina dekhu

Kaash Iqbal yun hi umar basar ho meri
Subha Kaabe main to phir shaam ko Taiba dekhu

Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu
Ab to bas aik hi dhun hai ke Madina dekhu






Chaand Taare Hi Kya Dekhte Reh Gaye



Chaand Taare Hi Kya Dekhte Reh Gaye Naat Lyrics


Chand taaray hi kyaa, dekhtay reh ga-ay,

Unko arzo samaa dekhtay reh ga-ay.

Ham daray Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) dekhtay reh ga-ay,

Noor hi noor tha, dekhtay reh ga-ay.

Parh kay roohul ameen, soora e wadduhaa,

Soorat-e-Mustafa dekhtay reh ga-ay

Wo Imaamat ki shab, wo Saff-e-Ambiyaa,

Muqtadi muqtadaa dekhtay reh ga-ay.

Naykon bad par huwaa, un ka yaksaa karam,

Log acha buraa dekhtay reh ga-ay

Kya khabar kiss ko kab Jaam-e-Kausar milaa,

Hum to unki adaa dekhtay reh ga-ay

Ho ke gumm ay Naseer Unke jalwon mein hum,

Shaan-e-Rabbul ‘Ulaa dekhtay reh ga-aye

Baar baar tauba ki aur phir torr di

Woh Habib-e-Khuda maaf karte rahe

Ya Rasul Llah ya Habiba Llah

Mere sar ko Haram ki fiza chahiye

Ya Rasool Llah ya Habiba Llah

Mere dil ko Dar-e-Mustafa chahiye

Fazl-e-Rabb-ul-‘ula aur kya chahiye

Mil gaye Mustafa aur kya chahiye

Chand taaray hi kyaa, dekhtay reh ga-ay,

Unko arzo samaa dekhtay reh ga-ay.

Kalaam By: Peer Syed Naseer-ud-Din Naseer Shah











Ban Ker Faqeer Jao


Ban Ker Faqeer Jao Naat Lyrics



Ban ker faqeer jao, Sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki galli mayDil ki muraad pao, Sarkaar ki galli may

Aisa kareem  koi tujh ko na phir millay gaBaithay raho gadao, Sarkaar ki galli may

Jannat may rehnay waali, huurou say koi keh dayAik tum bhi ghar banao, Sarkaar  ki galli may

Kis kis ko may bataou, khud ja kay koi daikhayJannat ka der khulla hay, Sarkaar ki galli may










Aanay Walo Yay To Bataao





Aanay walo yay to bataao shehr madina kesa he
Sar un kay qadmon mayn rakh kar jukh kar jiina kesa he

Gunbaday khazra kay sa-ay mayn beytth kay tum to aa-ay ho
Uss sa-ay mayn Rabb kay aagay sajda karna kesa he

Dil aankhayn or ruuh tumhari lagti heyn sehraab mujhay
Dar pay un kay beytth kay zamzam piina kesa he



Diiwano aankhon say tumharitna puuch to laynay do
Waqt e dua rozay pay un kay aansu bahana kesa he

Waqt e rukhsat dil ko apnay chhoarr wahaan tum aa-ay ho
Yay batlaa-o ishrat un kay dar say bichharrna kesa he







Ya Nabi Salam Alayka Naat Lyrics


Ya Nabi Salam Alayka Lyrics

Anta nooru Llahi fajran
Ji’ta baadal usri yusran
Rabbuna a’alaka qadran
Ya imam al Ambiya’i
[Translation:]
You are the light of Allah at dawn
You came after the hardship as convenience
Our Allah raised up your position
Oh Imam (Leader) of the Prophets
Anta fi l-wajdani hayyun
Anta li l-‘aynayni dayyun
Anta ‘inda l-hawdi rayyun
Anta haden wa safiyyun
Ya Habibi ya Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
[Translation:]
You are alive in sentiment
You are the light of eyes
You are the irrigation at the Hawd (basin)
You are the absolutely pure guide
My beloved Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Ya Nabi salam ‘alayka
Ya Rasul salam ‘alayka
Ya Habib salam ‘alayka
Salawatu Llah ‘alayka
[Translation:]
Oh Prophet, peace be upon you
Oh Messenger, peace be
Oh beloved, peace be
The prayers of Allah be
Yartawee bi l-hubbi qalbi
Hubbi khayri rusli Rabbi
Man bihi absartu darbi
Ya shafi’i ya Rasula Llah
[Translation:]
My heart irrigates with love
Whom by him I have seen my path
The love of the best of Messengers of my God
My intercessor, Oh Messenger of Allah
Ayyuha l-mukhtaru feena
Zadana l-hubbu haneena
Ji’tana bi l-khayri deena
Ya khatam al-mursaleena
Ya habeebi ya Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
[Translation:]
Oh, the chosen out from us
Love boosted up the nostalgia
You came for us with religious peace
Oh, final Messenger
My beloved Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Ya Nabi salam ‘alayka
Ya Rasul salam ‘alayka
Ya Habib salam ‘alayka
Salawatu Llah ‘alayka
[Translation:]
Oh Prophet, peace be upon you
Oh Messenger, peace be
Oh beloved, peace be
The prayers of Allah be
Na Chedo Zikr E Jannat Naat Lyrics


Na Chedo Zikr E Jannat Lyrics

Na chedo zirk e jannat ab Madinah yaad aya hai
Nabi ka sabz Gumbad dil ki aankhaon me samaya hai
Mila karti hai mooh maange muradein Unke Rauze par
Ghulamau ne Tere Dar se jo maanga hai woh paya hai
Khuda ki Sultanat ke Tum ho Dulha Ya Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Tumhare waaste RABB ne yeh A’alam sajaya hai
Shabe Asra Mubarak baad dee yeh hooraun ne
Muhammed ko Khuda e Pak ne Dulha banaya hai
Namazaun me Azaan me Kalmah me aur Arsh par har ja
Khuda ne naam Tera naam se apne milaya hai
Zameen ko cheerte daude huwe aae hai khidmat me
Darakhtaun ne isharah Aapka jis waqt paya hai
Tumhari zaat par kyun kar bharosa ho na alam ko
Gunah-garaun ko Tumne naar e dozakh se bachaya hai
Ijabat ne liya bosah Tumhare pyare hotaun ka
Dua ke waaste jis waqt Tum ne lab hilaya hai
Koee pur saane haal apna nahi hai Ya Rasoolullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Jo apna hai to Tu hai aur baqi sab paraya hai
Sana e Mustafa woh bhi rawayat e sahiha se
Jameele Qadri kya khoob tere paas maya hai


Hasbi Rabbi Jallallah Naats Lyrics

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

Tere sadqe me aaqa sare jahan ko deen mila
Bedeeno ne kalma padha laailaha illallah

Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah

Simt-e-nabi Abu Jehal gaya aaqa se usne ye kaha
Agar ho nabi batlaao zara, meri mutthi me hai kya

Aaqa ka farman hua aur fazl-e-rahmaan hua
Mutthi se patthar bola laailaha illallah


Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah

Wo jo bilal-e-habshi hai, sarwar-e-deen ka pyara hai
Duniya ke har aashiq ki aakhon ka wo tara hai

Zulm hue kitne uspar seene par rakha patthar
Lab par phir bhi jaari tha laailaha illallah

Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah

Apni bahan se bole Umar (ra) ye to bata kya karti thi
Mere aane se pahle kya chupke chupke padhti thi

Bahan ne jab quran padha, sunke kalam-e-paak khuda
Dil ye umar (r.a) ka bol utha laailaha illallah

Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah

Duniya ke insan sabhi shirk-o-bidat karte the
Rab ke the bande phir bhi but ki ibadat karte the

Butkhane hain tharraye mere nabi hain jab aaye
Kahne lagi makhlooq-e-khuda laailaha illallah

Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah


NA HO AARAAM JIS BIMAAR KO SAARE ZAMAANE SE LYRICS

NA HO AARAAM JIS BIMAAR KO SAARE ZAMAANE SE
UTHAA LEJAAYE THORI KHAAK UNKE AASTAANE SE
TUMHAARE DAR KE TUKRO SE PARAA PALTA HE EK AALAM
GUZAARA SUB KA HOTAA HE USSI MUHTAAJ KHAANE SE
SHAB-E-ASRA KE DOOLHA PAR NICHAAWAR HONE WAALI HE
NAHEE TO KYA GARAZ THEE ITNI JAANO KI BANAANE SE
NA KYU UNKI TARAF ALLAH SOU SOU PYAAR SE DEKHE
JO APNI AANKHE MALTE HE TUMHAARE AASTAANE SE
NA POHONCHE UNKE QADMO TUK NA KUCH HUSNE AMAL HI HE
HASSAN KYA POOCHTE HO HUM GAYE GUZRE ZAMAANE SE

Aapne daamane shifaat


Aapne daamane shifaat Lyrics


Apnay daamane shifaat main chupaye rakhna
Mere sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri baat banaye rakhna
Maine maana ke nikamma hoon magar aap ka hoon
Is nikamme ko bi sarkar nibaye rakhna
Mere sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri baat banaye rakhna
Jab sare hashre sawaaneze pai suuraj aaye
Aapne kamli kai gunahgare pai saye rakhna
Mere sarkaar meri baat banaye rakhna
Un kai aane ki gari hai wo hain aane waaley
Mere sarkar ki mehfil ko sajaye rakhna
Mere sarkaar meri baat banaye rakhna
Zarraye khaak ko khursheed banane waey
Khaak hoon khaak ko kaadmoon sey lagaye rakhna
Mere sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)  meri baat banaye rakhna
Apney daamane shifaat main chupaye rakhna



Aaqa Ka Milad Aaya Lyrics

Ya Rasula Llah, ya Habiba Llah
Salla ‘alayka ya Rasula Llah
wa sallam ‘alayka ya Habiba Llah
ahlan wa sahlan marhaba, ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya
Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray
Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi
Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya
Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan
Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya
Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe
Na’ara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya
Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye
Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya
Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne
Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya
Na’at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao
Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya
Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain
Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay Lagay Hain
Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat
Tu Ne Muqqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya


Aaya Hai Bulawa Mujhay Darbar-e-Nabi Se Lyrics

pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
tohfa ye mila hai sarkar-e-Nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-Nabi se
darbare-Nabi se
bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-Nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-Nabi se
irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
ye pooch le aake koi beemar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
darbar-e-Nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
darbar-e-Nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
darbar-e-Nabi se

Habibe Khuda Ka Nazara Karoon

Habeeb-e-Khuda (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka nazara karoon mein

Dilo jaan unpar nisaaraa karoon mein

Yeh ek Jaan kya hai agar ho karoro

Tere Naam par sab ko waaraa karoon mein

Tere Naam par sar ko qurbaan kar ke

Tere sar se Sadqe utaara karoon mein

Mera Deen-o-Imaan Firishte jo pooche

Tumhari hi jaanib ishaaraa karoon mein

Khudara ab aawo ke dam he labo par

Dame wapasi to nazaara karoon mein

Khudaa kher se laye woh din bhi Noori

Madine ki galiyan bohaaraa karoon mein

Mujhe apni rehmat se to apna karle

Siwa Tere sab se kinaaraa karoon mein

Mein kyoon ghair ki thokare khane jawoon

Tere Dar se apna guzaaraa karon mein

Tera Zikr lab par khuda dil ke andar

Yunahi zindagani guzaaraa karoon mein

Dame wapasi tak tere geet gaoon

Muhammad Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) phukaaraa karoon mein

Tere dar ke hote kahan jawoon pyare

Kahan apna daaman pasaaraa karoon mein

Khudaa aisi kuwat de mere qalam mein

Ke Bad-Mazhabon ko sudhaaraa karoon mein