A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z

Recently Naats Updated



Hasbi Rabbi Jallallah Naats Lyrics

Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah

Tere sadqe me aaqa sare jahan ko deen mila
Bedeeno ne kalma padha laailaha illallah

Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah

Simt-e-nabi Abu Jehal gaya aaqa se usne ye kaha
Agar ho nabi batlaao zara, meri mutthi me hai kya

Aaqa ka farman hua aur fazl-e-rahmaan hua
Mutthi se patthar bola laailaha illallah


Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah

Wo jo bilal-e-habshi hai, sarwar-e-deen ka pyara hai
Duniya ke har aashiq ki aakhon ka wo tara hai

Zulm hue kitne uspar seene par rakha patthar
Lab par phir bhi jaari tha laailaha illallah

Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah

Apni bahan se bole Umar (ra) ye to bata kya karti thi
Mere aane se pahle kya chupke chupke padhti thi

Bahan ne jab quran padha, sunke kalam-e-paak khuda
Dil ye umar (r.a) ka bol utha laailaha illallah

Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah

Duniya ke insan sabhi shirk-o-bidat karte the
Rab ke the bande phir bhi but ki ibadat karte the

Butkhane hain tharraye mere nabi hain jab aaye
Kahne lagi makhlooq-e-khuda laailaha illallah

Hasbi rabbi jallallah, ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla, laailaha illallah


NA HO AARAAM JIS BIMAAR KO SAARE ZAMAANE SE LYRICS

NA HO AARAAM JIS BIMAAR KO SAARE ZAMAANE SE
UTHAA LEJAAYE THORI KHAAK UNKE AASTAANE SE
TUMHAARE DAR KE TUKRO SE PARAA PALTA HE EK AALAM
GUZAARA SUB KA HOTAA HE USSI MUHTAAJ KHAANE SE
SHAB-E-ASRA KE DOOLHA PAR NICHAAWAR HONE WAALI HE
NAHEE TO KYA GARAZ THEE ITNI JAANO KI BANAANE SE
NA KYU UNKI TARAF ALLAH SOU SOU PYAAR SE DEKHE
JO APNI AANKHE MALTE HE TUMHAARE AASTAANE SE
NA POHONCHE UNKE QADMO TUK NA KUCH HUSNE AMAL HI HE
HASSAN KYA POOCHTE HO HUM GAYE GUZRE ZAMAANE SE

Aapne daamane shifaat


Aapne daamane shifaat Lyrics


Apnay daamane shifaat main chupaye rakhna
Mere sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri baat banaye rakhna
Maine maana ke nikamma hoon magar aap ka hoon
Is nikamme ko bi sarkar nibaye rakhna
Mere sarkaar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meri baat banaye rakhna
Jab sare hashre sawaaneze pai suuraj aaye
Aapne kamli kai gunahgare pai saye rakhna
Mere sarkaar meri baat banaye rakhna
Un kai aane ki gari hai wo hain aane waaley
Mere sarkar ki mehfil ko sajaye rakhna
Mere sarkaar meri baat banaye rakhna
Zarraye khaak ko khursheed banane waey
Khaak hoon khaak ko kaadmoon sey lagaye rakhna
Mere sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)  meri baat banaye rakhna
Apney daamane shifaat main chupaye rakhna



Aaqa Ka Milad Aaya Lyrics

Ya Rasula Llah, ya Habiba Llah
Salla ‘alayka ya Rasula Llah
wa sallam ‘alayka ya Habiba Llah
ahlan wa sahlan marhaba, ya Rasula Llah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Charoon Taraf Noor Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyon Ka Pegham Laya Aaqa Ka Milad Aaya
Shams-O-Qamar Aur Taaray Kyun Na Ho Khush Aaj Saaray
Unse Hee Tou Noor Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Khushiyan Manatay Hain Wohi Dhoomein Machatay Hain Wohi
Jinn Per Hua Unka Saaya Aaqa Ka Milad Aaya
Hai Shaad Har Ek Musalmaan Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan
Galiyun Ko Bhi Jagmagaya Aaqa Ka Milad Aaya
Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhe Noori Bashar Jaanay Jou Unhe
Na’ara Ussi Ne Lagaya Aaqa Ka Milad Aaya
Jou Aaj Mehfil Mein Aaye Mun Ki Muradein Woh Paaye
Sab Par Karam Ho Khudaya Aaqa Ka Milad Aaya
Ghous Ul Wara Aur Data Ne Mere Raza Aur Khuwaja Ne
Sab Ne Hee Din Ye Manaya Aaqa Ka Milad Aaya
Na’at-e-Nabi Tum Sunao Ishq-e-Nabi Ko Barhao
Hum Ko Raza Ne Sikhaya Aaqa Ka Milad Aaya
Jiss Ko Shajar Jaantay Hain Kehna Hajar Maantay Hain
Aisa Nabi Hum Ne Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Dil Jagmaganay Lagay Hain Sab Muskaranay Lagay Hain
Ik Kaif Sa Aaj Chahya Aaqa Ka Milad Aaya
Kar Ae Ubaid Unki Midhat Tujh Per Khuda Ki Ho Rehmat
Tu Ne Muqqadar Ye Paaya Aaqa Ka Milad Aaya
Aaqa Meriyan Akhiyaan


Aaqa Meriyan Akhiyaan Lyrics

– Oh Shehr Madina jad main takeya
Mere thand pai gayi vich sinay
Othay main reh ke aa gaya Saadiq
Akhan reh giyan shehar Madinay –
Aaqa meriyan akhiyan madine wich reh gayan
Muk gaya visa tay judaiyan phir pai gaiyan
Tusan te menoon dar te sadeya, Wele Mainu shehroon kadiya
Tere dar diyan sohniyan yaadan, Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) mera saath na chadeya
Nit diyan sochan hun, jind meri legaiyan
Aabe Zamzam peende reyan, do din sukh naal jeende reyan
Tere ghar di chaukat de assi, mangte roz sadende reyan
Mangiyan muraadan si jo, chauli meri pai gaiyan
Phir main wekhan roza tera, soh rab di dil karda mera
Je kidre manzoori howe, laalaan othe pakka dera
Lakhan majburiyan ne, rawan wich pai gaiyan
Aaqa teri shaan nu wekhan, chuk de kul jahaan nu wekhan
Jere tere kol ne suthe, Umar, Siddique, Usman nu wekhan
Jina tere kadman wich, thaawan Aqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) le laiyan
Jad main takya sher e madina, roshan hogeya mera seena
Soh salaan tu wadh lagda si pawein si oh ik maheena
Sadiq Ghumbad e Khazra tak ke, tandan mainoon pai gaiyan
Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) meriyan akhiyan madine wich reh gayan
Muk gaya visa te judaiyan phir pai gaiyan
Aaqa meriyan akhiyan madine wich reh gayan


Aaya Hai Bulawa Mujhay Darbar-e-Nabi Se Lyrics

pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
tohfa ye mila hai sarkar-e-Nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-Nabi se
darbare-Nabi se
bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-Nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-nabi se
darbare-Nabi se
irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
ye pooch le aake koi beemar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
darbar-e-Nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
darbar-e-Nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
darbar-e-Nabi se

Habibe Khuda Ka Nazara Karoon

Habeeb-e-Khuda (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ka nazara karoon mein

Dilo jaan unpar nisaaraa karoon mein

Yeh ek Jaan kya hai agar ho karoro

Tere Naam par sab ko waaraa karoon mein

Tere Naam par sar ko qurbaan kar ke

Tere sar se Sadqe utaara karoon mein

Mera Deen-o-Imaan Firishte jo pooche

Tumhari hi jaanib ishaaraa karoon mein

Khudara ab aawo ke dam he labo par

Dame wapasi to nazaara karoon mein

Khudaa kher se laye woh din bhi Noori

Madine ki galiyan bohaaraa karoon mein

Mujhe apni rehmat se to apna karle

Siwa Tere sab se kinaaraa karoon mein

Mein kyoon ghair ki thokare khane jawoon

Tere Dar se apna guzaaraa karon mein

Tera Zikr lab par khuda dil ke andar

Yunahi zindagani guzaaraa karoon mein

Dame wapasi tak tere geet gaoon

Muhammad Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) phukaaraa karoon mein

Tere dar ke hote kahan jawoon pyare

Kahan apna daaman pasaaraa karoon mein

Khudaa aisi kuwat de mere qalam mein

Ke Bad-Mazhabon ko sudhaaraa karoon mein